Urdu Shayari Whatsapp Status SMS Quotes Of Love Romantic


Urdu Whatsapp Status, Urdu SMS Latest, Urdu Funny Shayari Collection, Urdu Poatri, Poem, Sher Shayari Urdu Gazalkar, Urdu Love Romantic SMS, Urdu Girlfriend Shayari, Urdu Bewafa Status, 2 Line, 140 - 160 word, Short  Click....here

Jo shaad phirte they kal aaj chup ke rote hain,
Hazaar shukar gham paayedaar apnaa hai..
------------
Kyaa jane woh dil se utar kyun nahin jata,
Gr shaam ka bhoola hai to ghar kyun nahin jata,
Hum ko nahin maloom ke ujrre huye dil se,
Awaara mizaaji ka assar kyun nahin jata,
---------------
Thehra hai jo qaafila-e-gham mere dil main,
Iss chotti si bastti se guzar kyun nahin jata,
Saanson se mere larzish -e-gham kyun nahin jaati,
Pairon se mere zakhm-e-safar kyun nahin jata..
-------------
Naffa jo bhool bhi jaye khasaara yaad rehta hai,
Ho jiss ne aag bharrkaayi sharaara yaad rehta hai,
Kiye ki sazaayen phir bhi bhool jaati hain,
Na-karda gunaahi ka kafaara yaad rehta hai,
Ik daane ke badle jo jannat haar di hum ne,
Wahan hooron farishton ka ijaara yaad rehta hai,
Lehar ka bhanwar tak laana kismat tha magar Roohi,
Woh jiss ke paas jaa doobain kinaara yaad rehta hai..
---------------
Kehte hain kaaghzon ki banaata tha kashtiyan,
Hathon se apne paar lagaata tha kashtiyan,
Bacha mila hai aaj woh saahil pe maut ke,
Kal tak jo paaniyon main bahaata tha kashtiyan..
--------------
Karoon ga kya jo mohabbat main ho geya nakaam,
Mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata.. 
--------------
Tum barri dair baad laute ho,
Dard kaafuur ho gaye ab to,
Kuch zaroorat nahin hai marham ki,
Zakham naasuur ho gaye ab to..
-----------------
Iraada tha ke main kuch dair tufaan ka maza leta,
Magar bechaare darya ko utar jaane ki jaldi thi..  

0 Response to "Urdu Shayari Whatsapp Status SMS Quotes Of Love Romantic"

Post a Comment